Monday, January 23, 2012

Mirza Ghalib Title by Gulzar

’’Ballimaran ke mohalle ki wo pechida dalilon ki si galiyan
Samne taal ke nukkad par bateron ke kaseede
Gudgudati hui pan ki peekon mein wo daad wo wah wah
Chand darwazon par latke hue boseeda se kuch taat ke parde
Ek bakri ke mamiyane ki awaz
Aur dhundhlai hui shaam ke benoor andhere ..
..aise deewaron se muhn jod ke chalte hain yahan
Chooriwalan ke katre ki Badi Bi jaise apni buhjti hui aankhon se darwaze tatole’’

No comments:

Post a Comment