Tuesday, January 24, 2012

Sach Mere Yaar Hai - Javed Akhtar

Hindi
Lyrics: Javed Akhtar
Music: RD
Album: Sagar
Singer: SP Balasubramaniyam


Sach Mere Yaar Hai, Bas Wohi Pyaar Hai Jiske Badle Mein Koi To Pyaar De Baaqi Bekaar Hai, Yaar Mere....  Jis Haath Mein Ik Haath Hai  Us Haath Ki Kya Baat Hai Kya Manzilein Kya Faasle Ik Humsafar Gar Saath Hai Jiski Qismat Koi Yoon Sanvaar De Vo Hi Dildaar Hai, Yaar Mere....  Jhoome Zameen Jhoome Gagan Tere Liye Hoke Magan Khilti Rahein Khushiyaan Teri Mehka Rahe Dil Ka Chaman Zindagi Tujhko Aisi Bahaar De  Dilki Pukaar Hai, Yaar Mere....  Sunte The Hum Yeh Zindagi Gham Aur Khushi Ka Mel Hai Humko Magar Aaya Nazar Yeh Zindagi Voh Khel Hai Koi Sab Jeete Sab Koi Haar De  Apni To Haar Hai, Yaar Mere....

Main aur meri awaargi - Javed Akhtar

Lyricist: Javed Akhtar
Music: R D Burman


Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

Main aur meri awaargi
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

Na aashna har rehguzar
Na meherbaan har ek nazar
Jaayein to ab jaane kidhar

Main aur meri awaargi

Ek din mili ek maahjabi
Tan bhi haseen jaan bhi haseen
Dil ne kahan humse wohi
Khawabon ki manzil wohi
Phir wo hua wo khoo gayi
To mujhko zidd se ho gayi
Laayengein unsko dhund kar

Main aur meri awaargi
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

Ye dil hi tha jo seh gayaa
Wo baat aesi keh gayaa
Ye dil hi tha jo seh gayaa
Wo baat aesi keh gayaa

Kehne ko phir kya reh gayaa
Ashkon ka dariyaa beh gayaa
Jab keh ke vo dilbar gayaa
Tere liye main mar gayaa
Rote hain us ko raat bhar

Main aur meri awaargi
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

Hum bhi kabhi aabaad the
Aese kahaan barbaad the
Hum bhi kabhi aabaad the
Aese kahaan barbaad the

Befikr the aazaad the
Masroor the dilshaad the
Wo chaal aesi chal gayaa
Hum bujh gaye dil jal gayaa
Nikle jalaa kar apanaa ghar

Main aur meri awaargi
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

Monday, January 23, 2012

मुझको भी तरकीब सिखा कोई यार जुलाहे

मुझको भी तरकीब सिखा कोई यार जुलाहे
अक्सर तुझको देखा है कि ताना बुनते
जब कोई तागा टूट गया या ख़तम हुआ
फिर से बाँध के
और सिरा कोई जोड़ के उसमें
आगे बुनने लगते हो
तेरे इस ताने में लेकिन
इक भी गाँठ गिरह बुनतर की
देख नहीं सकता है कोई
मैंने तो इक बार बुना था एक ही रिश्ता
लेकिन उसकी सारी गिरहें
साफ़ नज़र आती हैं मेरे यार जुलाहे.....
मुझको भी तरकीब सिखा कोई यार जुलाहे ....

Mirza Ghalib Title by Gulzar

’’Ballimaran ke mohalle ki wo pechida dalilon ki si galiyan
Samne taal ke nukkad par bateron ke kaseede
Gudgudati hui pan ki peekon mein wo daad wo wah wah
Chand darwazon par latke hue boseeda se kuch taat ke parde
Ek bakri ke mamiyane ki awaz
Aur dhundhlai hui shaam ke benoor andhere ..
..aise deewaron se muhn jod ke chalte hain yahan
Chooriwalan ke katre ki Badi Bi jaise apni buhjti hui aankhon se darwaze tatole’’