Tuesday, January 24, 2012

Main aur meri awaargi - Javed Akhtar

Lyricist: Javed Akhtar
Music: R D Burman


Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

Main aur meri awaargi
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

Na aashna har rehguzar
Na meherbaan har ek nazar
Jaayein to ab jaane kidhar

Main aur meri awaargi

Ek din mili ek maahjabi
Tan bhi haseen jaan bhi haseen
Dil ne kahan humse wohi
Khawabon ki manzil wohi
Phir wo hua wo khoo gayi
To mujhko zidd se ho gayi
Laayengein unsko dhund kar

Main aur meri awaargi
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

Ye dil hi tha jo seh gayaa
Wo baat aesi keh gayaa
Ye dil hi tha jo seh gayaa
Wo baat aesi keh gayaa

Kehne ko phir kya reh gayaa
Ashkon ka dariyaa beh gayaa
Jab keh ke vo dilbar gayaa
Tere liye main mar gayaa
Rote hain us ko raat bhar

Main aur meri awaargi
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

Hum bhi kabhi aabaad the
Aese kahaan barbaad the
Hum bhi kabhi aabaad the
Aese kahaan barbaad the

Befikr the aazaad the
Masroor the dilshaad the
Wo chaal aesi chal gayaa
Hum bujh gaye dil jal gayaa
Nikle jalaa kar apanaa ghar

Main aur meri awaargi
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar

2 comments:

  1. Aasar hai sab khot ke,
    Imkan hai sab chot ke,
    Ghar band hai sab got ke,
    Ab khatam hai sab totke,
    Kismat ka ye pher he,
    Andher hi Andher hi,
    Ese hue hai beasar,
    Me aur meri awargi.

    ReplyDelete
  2. Imka na ho jiska sitam,
    Dhoondenge ab aisa sanam,
    Honge kabhi to kargar,
    Main aur meri awargi

    ReplyDelete